zaban-e-haal se hum shikwa-e-bedad karte hain dahan-e-zakhm-e-qatil dam-ba-dam fariyaad karte hain samajh kar kya asiran-e-qafas fariyaad karte hain tawajjoh bhi kahin fariyaad par sayyaad karte hain azab-e-qabr se pate hain rahat ishq ke mujrim pas-e-murdan jafaen yar ki jab yaad karte hain na kah bahr-e-khuda tu bandagan-e-ishq ko kafir buton ki yaad mein zahid khuda ko yaad karte hain zara sayyaad chal kar dekh tu kya haal hai un ka asiran-e-qafas fariyaad par fariyaad karte hain butan-e-sang-dil ke hath se dil hi nahin nalan barabar dair mein naqus bhi fariyaad karte hain banate hain hazaron zakhm-e-khandan khanjar-e-gham se dil-e-nashad ko hum is tarah pur-shad karte hain mile lazzat jo iza se to baz aate hain iza se sitam-ijad hain tarz-e-sitam ijad karte hain 'asar' ko dekh kar kya ruh ko sadma pahunchta hai khuda samjhe buton se kis qadar be-dad karte hain