zaban par sabhi ki baat hai faqat sawar ki kabhi to baat bhi ho palki liye kahaar ki gulon ko titliyon ko kis tarah karega yaad wo ki jis ko fikr raat-din lagi ho rozgar ki bigad ke jis ne pa liya tamam lutf-e-zindagi nahin sunega phir wo baat koi bhi sudhaar ki wo khush rahe ye soch kar sada main haarta gaya kisi ke sath jab ladi ladai aar-par ki jise bhi dekhiye use wo tod kar hi hai badha kahan rahin hain desh mein zaruraten qatar ki tujhe padha hamesha main ne apni band aankhon se ye dastan hai nazar pe raushni ke war ki chadhe jo is qadar ki phir kabhi utar nahin sake talash zindagi mein hai mujhe usi khumar ki