zabt apna shiar tha na raha dil pe kuchh ikhtiyar tha na raha dil-e-marhum ko khuda bakhshe ek hi gham-gusar tha na raha aa ki waqt-e-sukun-e-marg aaya nala na-khush-gawar tha na raha un ki be-mehriyon ko kya malum koi ummid-war tha na raha aah ka e'tibar bhi kab tak aah ka e'tibar tha na raha kuchh zamane ko sazgar sahi jo hamein sazgar tha na raha ab gareban kahin se chaak nahin shughl-e-fasl-e-bahaar tha na raha maut ka intizar baqi hai aap ka intizar tha na raha mehrban ye mazar-e-'fani' hai aap ka jaan-nisar tha na raha