zabt-e-gham hai meri poshak meri izzat rakh aatish-e-dida-e-namnak meri izzat rakh khul na jae ye meri aks-farebi kisi din aaina-khana-e-idrak meri izzat rakh meri mitti se charagh-e-dar-o-diwar bana dar-ba-dar kar ke meri khak meri izzat rakh partaw-e-dagh-e-guzishta rukh-e-farda pe na dal gardish-e-saat-e-saffak meri izzat rakh badi mushkil se banai hai ye izzat main ne jazba-e-kar-e-hawasnak meri izzat rakh ya samundar se meri khak juda kar 'shahid' ya bana de mujhe tairak meri izzat rakh