zabt-e-nawak-e-gham se baat ban to sakti hai

zabt-e-nawak-e-gham se baat ban to sakti hai
aadmi ki ungli mein phans bhi khatakti hai

kya kisi nawazish ki poll khol di main ne
aankh jhenpti kyun hai kyun zaban bahakti hai

ham-qafas nasibon se gulsitan ka kya rishta
jis tarah koi dali tut kar latakti hai

sathiyo thake-mande haarte ho himmat kyun
dur se koi manzil din mein kab chamakti hai

kaam azm-o-himmat se insiram pate hain
kahili ki mat suniye kahili to bikti hai

jis ko nikhat-o-gul se wasta nahin hota
khush-libas phulon mein wo nazar bahakti hai

'shad' in andheron mein kahkashan ki manzil se
raat ke guzarne ki subh rah takti hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close