zabt ka aise imtihan na le ai meri jaan meri jaan na le sans rukta hai tere rukne se waqfe baaton ke darmiyan na le tark-e-ulfat ka kahte darta hun wo kahin meri baat man na le ye adalat nahin mohabbat hai tu mera halfiya bayan na le kar mukammal safar tawakkul se le safina to baadban na le tu kahan aur janab-e-qais kahan nam un ka ai bad-zaban na le wasl aur hijr se nikal 'khalid' koi lamha kisi se dan na le