zabt karne se hunar aur nikhar jata hai pyar had se jo guzarta hai bikhar jata hai raat ki jhil ka thahra hua pani main hun kaun chupke se meri tah mein utar jata hai us ki baaton mein hai sandal ki saloni khushbu mera ghar us ki duaon se sanwar jata hai jis ki dahliz ki mitti bhi mujhe pyari thi aaj dil us ke tasawwur se hi dar jata hai bahte dariya ki rawani ne sada di mujh ko dubne wala hi sahil pe ubhar jata hai apni chahat ki hadon mein hi use ab dhundo mod aate hi ye rasta bhi thahar jata hai