zabt mumkin na rahe baat hi aisi hogi hauslon ne to bahut parda-dari ki hogi sar uthate hue jhuk jati hain nazren jis ki us ki ghurbat bhi koi zat to rakhti hogi jo kisi nam se mansub thi ab tak shayad khana-e-dil mein wo masnad abhi khali hogi saya-e-gul se lipat kar koi roya hoga chandni jab dar-o-diwar pe utri hogi phir zamistan ki thithurti hui shab ne chup-chap us ki palkon pe meri yaad piro di hogi koi tarik darichon ke pare sochta hai raushni apni riwayat to rakhti hogi har kisi ke liye hote hain juda paimane kasa-e-chashm se daryuza-gari ki hogi