zahir ko aaj talta hun baatin tera khangalta hun ai aasman surakh-ru ho apna lahu uchhaalta hun aaina-dar tu hi ban ja main khud pe khak dalta hun aa dekh zindagi ki kaise sae mein jism dhaalta hun hota hai sard jab andhera suraj tera nikalta hun tu apne aastin se nalan ek main ki khud ko palta hun 'parwez' kaun hai ki jis se main bolta hun chaalta hun