zahiran nuqta hun ek simTa hua

zahiran nuqta hun ek simta hua
ghaur se dekho to hun bikhra hua

is qadar mayus hun chehron se main
apna chehra bhi lage badla hua

dar raha hun ho na jae pash-pash
aadmi ab kanch ka putla hua

zehn mein kuchh din se hai koi khayal
ek kante ki tarah chubhta hua

apne chehre par bharosa ho jise
aaine se kyon phire chhupta hua

tirgi ka khauf ab tak hai muhit
ye ujala jaise ho manga hua

jaane kyon ye sochta rahta hun main
kal ko ye suraj agar andha hua

sochne mein ajnabi mere liye
dekhne mein wo lage dekha hua

hum to ai 'manzur' tanha ho gae
khun pani se bhi kuchh patla hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close