zahr to la-jawab tha us ka

zahr to la-jawab tha us ka
din hi shayad kharab tha us ka

jabki mera sawal sidha tha
phir bhi ulta jawab tha us ka

wo mahz dhup ka musafir tha
ham-safar aaftab tha us ka

aankh jaise koi samundar ho
aur lahja sharab tha us ka

mutmain tha wo zat se apni
khud hi wo intikhab tha us ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close