zahrab ho ata ki mai-e-lala-gun mile saqi kisi tarah mere dil ko sukun mile hum log hain zamin ki zinat wagarna yun jhuk kar zamin se falak-e-nilgun mile jin ki mataa-e-aql pe duniya ko naz tha wo bhi fareb-khurda-e-duniya-e-dun mile danishwaron ko dasht mein dekha gurez-pa ahl-e-junun shanawar-e-dariya-e-khun mile ai ham-safar bahaar ki manzil qarib hai har samt aaj rah mein sailab-e-khun mile ab tum ko ranj hai ki wo diwana ho gaya aisa hi tha to 'abid'-e-wahshi se kyon mile