zakhm-e-ummid bhar gaya kab ka qais to apne ghar gaya kab ka ab to munh apna mat dikhao mujhe naseho main sudhar gaya kab ka aap ab puchhne ko aae hain dil meri jaan mar gaya kab ka aap ek aur nind le lije qafila kuch kar gaya kab ka mera fihrist se nikal do nam main to khud se mukar gaya kab ka