zakhm ko marham karenge aap rahne dijiye kaam ye bhi hum karenge aap rahne dijiye khairiyat ko aap aae to badi hairat hui dukh hamara kam karenge aap rahne dijiye aap ne aansu diye hain aur ab mere liye aap aankhen nam karenge aap rahne dijiye 'ishq ka mujh ko maraz hai kya dawa aur kya du'a padh ke kya kya dam karenge aap rahne dijiye aap ki fitrat mein hai wa'da-khilafi is liye 'ahd-o-paiman hum karenge aap rahne dijiye aap ki aankhon ke aansu ab hamare nam hain hum inhen shabnam karenge aap rahne dijiye kaamyabi ke liye 'faruq' lazim hai yahi 'azm ko mohkam karenge aap rahne dijiye