zakhm koi ek badi mushkil se bhar jaane ke baad mil gaya wo phir kahin dil ke thahar jaane ke baad main ne wo lamha pakadne mein kahan takhir ki sochta rahta hun ab us ke guzar jaane ke baad kaisa aur kab se talluq tha hamara kya kahun kuchh nahin kahne ko ab us ke mukar jaane ke baad mil raha hai subh ke tare se jata mahtab raat ke tarik zine se utar jaane ke baad kya karun aakhir chalana hai mujhe kar-e-jahan jama khud ko kar hi leta hun bikhar jaane ke baad zakhm ek aisa hai jis par kaam ab karta nahin waqt ka marham zara sa kaam kar jaane ke baad chup hain yun chizen ki khul kar sans bhi leti nahin jaise ek sadme ki haalat mein hun dar jaane ke baad hain nawah-e-dil mein 'shahin' kuchh nashebi bastiyan dubta rahta hun un mein pani bhar jaane ke baad