zakhm koi phul jaisa khil gaya to kya kahun hath titli ka agar phir chhil gaya to kya kahun shakhs koi yaad aata hai mujhe ek umr se sochta hun gar kabhi wo mil gaya to kya kahun der se thahra hua tha tash ke minar sa ek patta phir achanak hil gaya to kya kahun baat dil ki aaj us se bolne ka dil kiya chup raha ye soch kar khud dil gaya to kya kahun han shikayat thi mujhe par kuchh nahin main ne kaha hont koi jab nazar se sil gaya to kya kahun