zakhm sahe mazduri ki sans kahani puri ki jazbe ki har konpal ko aag lagi majburi ki chup aaya chup laut gaya goya baat zaruri ki us ka nam labon par ho saat ho manzuri ki kitne suraj bit gae rut na gai be-nuri ki pas hi kaun tha 'aslam' jo karen shikayat duri ki