zakhmon ke dahan bhar de khanjar ke nishan le ja be-samt sadaon ki rifat ka guman le ja ehsas-e-basirat mein ibrat ka saman le ja ujdi hui basti se buniyaad-e-makan le ja shahron ki fazaon mein lashon ka taffun hai jangal ki hawa aa ja jismon ka dhuan le ja hai aur abhi baqi tarik safar shab ka ugne de naya suraj phir chahe jahan le ja jalti hui raaton ka bujhta hua manzar hun ghar aa ke kabhi 'ajiz' mujh se ye saman le ja