zakhmon ko mere rang hina de gai saba chaha tha kya bahaar mein kya de gai saba parwaz kar rahi hai khalaon mein ruh bhi apne mariz-e-gham ko shifa de gai saba dasht-e-junun ko gard udi aur jam gai uryan tha mera jism qaba de gai saba dil ko uda ke le gai manind-e-bu-e-gul kanton pe lotne ki saza de gai saba ye barq ye hawadis-e-dauran fuzul hain meri fana ko rang-e-baqa de gai saba tuta na phir bhi us ke khayalon ka silsila dil ke qarib aa ke sada de gai saba 'sailani' us bahaar mein jate hue hamein murjhae gul ghamon ki rida de gai saba