zalim buton se aankh lagai na jaegi

zalim buton se aankh lagai na jaegi
patthar ki chot dil se uthai na jaegi

hone do ho rahe hain jo ulfat ke tazkire
bigdoge tum to baat banai na jaegi

kah do ye shama se ki abas tu hai ashk-bar
pani se dil ki aag bujhai na jaegi

chilman ho ya naqab ho ya parda-e-haya
surat teri kisi se chhupai na jaegi

mumkin hai tir-e-naz se dil ko bacha bhi lun
lekin nazar ki chot bachai na jaegi

aankhen khuda ne di hain to dekhenge husn-e-yar
kab tak naqab rukh se uthai na jaegi

tauba ko munh laga ke khajil hoge tum 'jalil'
jam o subu se aankh milai na jaegi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close