zalzalon ne kiya yun shahr ko mismar ki bas chikh uthe khauf se baam-o-dar-o-diwar ki bas barishen le gai hain sara asasa mera mehrban itna hua abr-e-guhar-bar ki bas ab kisi dil mein nahin mimbar-o-mehrab ka khabt aise badnam hue jubba-o-dastar ki bas itni mai bhi na mili hont zara tar karte apni taqdir pe wo roe hain mai-khwar ki bas shahr-e-takhrib mein kya khwahish tamir karen aise taraj hue kucha-o-bazar ki bas ab ke khurshid ne barsai hai wo tariki sar-barahna nikal aai hai shab-e-tar ki bas zulm wo zulm ajal dhundhti phirti hai panah sabr wo sabr ki sharminda hai aazar ki bas yar-o-aghyar ne dekha hai tajjub se bahut 'mohsin'-ehsan pe thi wo tiron ki bauchhaar ki bas