zamana ab ye kaisa aa raha hai ki har badmast sambhla ja raha hai jalati hai khirad shamon pe shamen andhera hai ki badhta ja raha hai duaen kar rahe hain ahl-e-sahil safina hai ki duba ja raha hai magar badhti nahin hai baat aage zamana hai ki guzra ja raha hai bhara tha rang jis khake mein barson wo khaka yak ba yak dhundla raha hai mohabbat aap hi manzil hai apni na jaane husn kyun itra raha hai main khud taswir banta ja raha hun tasawwur mein mere kaun aa raha hai kisi se phir mohabbat ho rahi hai mujhe phir pyar dil par aa raha hai nigah-e-ishq ki wusat na puchho jahan-e-husn simta ja raha hai juda us ko na samjho karwan se 'imam' ek bankpan se aa raha hai