zamana apni hi surat pe marne lag jae to kya ab aaina khud se mukarne lag jae kisi sada mein wo aahang-e-inqalab to ho ki khar-zaron ki duniya sanwarne lag jae hamein ye dhyan to rakhna tha baad-o-baran se qabl ki sail-e-ab na sar se guzarne lag jae sitara ab koi diwar-e-shab mein dar to kare ujala dasht-e-siyah mein utarne lag jae karoge kya jo na kashti-e-jaan duboi gai tum ehtimam karo ye ubharne lag jae chalo na hum koi surat mufid si sochen fizai bagh zara aur nikharne lag jae