zamana dhund raha tha kidhar gaya pani kisi ka hukm hua to thahar gaya pani wo dhup thi ki zamin jal ke rakh ho jati baras ke ab ke bada kaam kar gaya pani bada ghurur tha apni chamak-damak pe use sunar ne jo tapaya utar gaya pani khuda ka khauf nahin ab tumhaare zehnon mein tawahhumat ka is tarah bhar gaya pani shikast-khurda ye qaumen tumhein mita dengi agar tumhaari hamiyyat ka mar gaya pani taras na aaya gharibon ke haal par 'ajiz' sisakte paudon ke sar se guzar gaya pani