zamana hai ki mujhe roz sham dasta hai magar ye dil hai ki pahle se aur hansta hai tu ye bata unhen kis ne bana diya aisa ki tere samne har koi dast-basta hai main us ko chhod ke ab jaun to kahan jaun yahi to ek meri zindagi ka rasta hai ajib baat hai lagta hai yun har ek chehra ki bolne ke liye jis tarah tarasta hai jo sukh ka sans mile umr bhar ke badle bhi tu meri man ki sauda ye phir bhi sasta hai sab ek dusre ko ab to yun bhi jaante hain ki ek ek ka andar se haal khasta hai shikayat aur to kuchh bhi nahin in aankhon se zara si baat pe pani bahut barasta hai karahta bhi hai har aan jo bhi zinda hai aur apne gird shikanja bhi khud hi kasta hai hamara kal koi patal mein rakh aaya hai samundaron mein se kahte hain koi rasta hai kisi tarah bhi to samjha sake na hum us ko zamane se ye kaho khud pe 'talkh' hansta hai