zamana khuda ko khuda jaanta hai yahi jaanta hai to kya jaanta hai isi mein dil apna bhala jaanta hai ki ek nakhuda ko khuda jaanta hai wo kyun sar khapae teri justuju mein jo anjam-e-fikr-e-rasa jaanta hai khuda aise bande se kyun phir na jae jo baitha dua mangna jaanta hai zahe sahw-e-katib ki sara zamana mujhi ko sarapa khata jaanta hai anokha gunahgar ye sada insan nawishte ko apna kiya jaanta hai 'yagana' tu hi jaane apni haqiqat tujhe kaun tere siwa jaanta hai