zamane kei tarah hamdam na hona khataon par meri barham na hona masail duriyan hargiz nahin thin masail duriyon ka come na hona yahi to raat hone ka sabab hai zamin ka shams ka baham na hona chale aao mohabbat ka hai mausam dobara ye hasin mausam na hona ajab basti tumhaare dil kei basti kisi gham ka jahan matam na hona mere dil kei yahi taklif thahri bichhadte waqt aankhen nam na hona ishaara hai ye sham-e-zindagi ka mere dil mein tumhaara gham na hona