zamane ki ye haalat inqilabi humne dekhi hai

zamane ki ye haalat inqilabi hum ne dekhi hai
gharibi hum ne dekhi hai nawabi hum ne dekhi hai

udate phir rahe hain khak viran regzaron ki
mah-o-anjum ki sadiyon hum rikagi hum ne dekhi hai

chhalakte jam jin hathon mein har dam raqs karte the
unhin hathon mein ab khali gulabi hum ne dekhi hai

hum apne ganw mein jis ka tasawwur kar nahin sakte
bade shahron mein itni be-hijabi hum ne dekhi hai

jawan apne muqaddar par bharosa karke baithe hain
mashaqqat mein hamesha kaamyabi hum ne dekhi hai

basera hai hamara in dinon footpath par hai sach
ye kal ki baat hai izzat-maabi hum ne dekhi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close