zamane ko lahu pine ki lat hai

zamane ko lahu pine ki lat hai
magar phir bhi yahan sab khairiyat hai

hamari shakhsiyat kya shakhsiyat hai
har ek tewar dikhawe ki parat hai

hamara ghar bahut chhota hai lekin
hamara ghar hamari saltanat hai

ye qatra khun ka dariya banega
abhi insan zer-e-tarbiyat hai

taaruf hum se apni zat ka bhi
abhi ahl-e-karam ki marifat hai

likhe hain git barsaton ke jis par
hamare ghar pe us kaghaz ki chhat hai

meri aankhon mein talkhi us jahan ki
tere chehre pe khauf-e-aqibat hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close