zamane mein kisi se ab wafaen kaun karta hai yahan sab zakhm dete hain dawaen kaun karta hai gila-shikwa nahin koi magar sab kuchh samajhta hun bujhane ko diye mere hawaen kaun karta hai luta ho karwan jis ka ujalon ke ishaaron se andheri raat chalne ki khataen kaun karta hai yahan insan ki chhodo parinde bhi samajhte hain mohabbat kaun karta hai jafaen kaun karta hai kisi se bhul kar apna kabhi mat dard-e-dil kahna yahan man ke alawa ab duaen kaun karta hai