zamane teri khatir dekh ye kya kar liya main ne ki wo be-parda aae aur parda kar liya main ne nigahon se kisi ki dil ka sauda kar liya main ne ghamon ki bhid mein bhi khud ko tanha kar liya main ne koi dekhe meri diwangi-e-shauq ka aalam ki un ko samne bithla ke sajda kar liya main ne numaish se bhi zakhm-e-dil ki hasil kuchh nahin 'naghmi' khudai mein buton ki khud ko ruswa kar liya main nai