zamane walon ke chehron pe kitne Dar nikle

zamane walon ke chehron pe kitne dar nikle
falak ki chah mein jab bhi zamin ke par nikle

bhatakna chahun bhi to duniya mukhtasar nikle
jidhar badhaun qadam teri rahguzar nikle

yashodhra ki tarah nind mein chhali gai to
main chahti hun mere khwab se ye dar nikle

kabhi khayal mein socho wo raat ka chehra
ki jis ghadi wo dua karti hai sahar nikle

ki jis pe chalte hue khud se mil sakun main 'saba'
kahin se kash koi aisi rahguzar nikle

padaw hoti hui manzilen na thin manzur
so haar thak ke 'saba' hum bhi apne ghar nikle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close