zamin-e-dil mein mohabbat ki fasl boi gai so ab ki bar musibat ki fasl boi gai chalen to pairon ke chhaale bhi bol uthte hain safar mein jaise mashaqqat ki fasl boi gai gila zamin se karun kya ki aasman pe bhi mere janam pe shikayat ki fasl boi gai tumhaara rizq to aana hai aasman se magar mere liye to aziyyat ki fasl boi gai isi liye to mayassar nahin sukun mujhe mere wajud mein wahshat ki fasl boi gai ajab nahin hai ki jaldi mein chhod dun duniya har ek shakhs mein ujlat ki fasl boi gai tumhein khabar hai ki hum sahili parinde hain hamare waste hijrat ki fasl boi gai uge hue the har ek samt aaine 'ahmad' bade yaqin se hairat ki fasl boi gai