zamin mein bij jo boe gae hain nafrat ke

zamin mein bij jo boe gae hain nafrat ke
to phul kaise khilenge bhala mohabbat ke

andhere chhae hue hain jahan jahaalat ke
wahan charagh the raushan kabhi zehanat ke

ye apne mulk ki tahzib hai na bhulo ise
ki ban ke rishte nahin tutte mohabbat ke

bhadak uthenge agar chal padi hawa phir se
sulag rahe hain jo jazbe yahan baghawat ke

hadis-e-dil hai ye is ko bhi aap padh lije
padhe hain aap ne qisse bahut mohabbat ke


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close