zamin nai thi anasir ki KHu badalti thi

zamin nai thi anasir ki khu badalti thi
hawa se pahle jazire pe dhup chalti thi

nigah bahalne lagi thi hasin manazir se
bas ek ranj ki haalat nahin bahalti thi

us ek charag se chehre ki did mushkil thi
nazar ki lau kabhi girti kabhi sambhalti thi

hamare dasht ko wahshat nahin mili thi abhi
so us ke dil mein koi aabju machalti thi

sadak ka surmai dil bichh raha tha pairon mein
wo gul-nazhad kahin sair ko nikalti thi

hamari khak tabarruk samajh ke le jao
hamari jaan mohabbat ki lau mein jalti thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close