zamin par na rahe aasman ko chhod diya tumhaare baad zaman o makan ko chhod diya tabah kar gaya ek lamha-e-kharab mujhe ki main ne halqa-e-awargan ko chhod diya kahin panah nahin milti lamha bhar ke liye ki jab se mahfil-e-dil-dadgan ko chhod diya bas ek kunj-e-khas-o-khak mein sukun mila so main ne halqa-e-sayyargan ko chhod diya tumhaare baad guzishta raha na haal raha so dil ne khadsha-e-aindagan ko chhod diya