zamin par nim-jaan yari padi hai idhar khanjar udhar aari padi hai mere hi sar pe hain ilzam sare badi mahngi wafa-dari padi hai ajab sa khauf phaila hai watan mein hawa ke hath chingari padi hai bichhad kar ho gaya barbaad wo bhi hamein bhi chot ye kari padi hai samundar se koi rishta hai is ka nadi kis waste khaari padi hai