zamin pe aag falak par dhuan dikhai diya mera wajud kahin darmiyan dikhai diya har ek samt yaqin ki naqab odhe hue har ek paikar-e-wahm-o-guman dikhai diya siyah chand sitare siyah suraj tha suna hai us ko ajab ek saman dikhai diya wo mera main tha ki main tha ya mera saya tha kal aaine mein koi bad-guman dikhai diya adhuri shakl adhuri nazar adhura wajud ajib shakhs mujhe kal wahan dikhai diya