zamin se aage bhala jaana tha kahan maine

zamin se aage bhala jaana tha kahan main ne
uthae rakkha yunhi sar pe aasman main ne

kisi ke hijr mein shab se kalam karte hue
diye ki lau ko banaya tha ham-zaban main ne

shajar ko aag kisi aur ne lagai thi
na jaane sans mein kyun bhar liya dhuan main ne

kabhi to aaenge us samt se gulab o charagh
ye nahr yun hi nikali nahin yahan main ne

meri to aankh mera khwab tutne se khuli
na jaane panw dhara nind mein kahan main ne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close