zamin se aasman tak aasman se la-makan tak hai zara parwaz-e-musht-e-khak to dekho kahan tak hai talash-o-justuju ki had faqat nam-o-nishan tak hai suragh-e-karwan bhi bas ghubar-e-karwan tak hai jabin-e-shauq ko kuchh aur bhi izn-e-saadat de ye zauq-e-bandagi mahdud sang-e-astan tak hai sarapa aarzu ban kar kamal-e-muddaa ho ja wo nang-e-ishq hai jo aarzu aah-o-fughan tak hai badhae ja qadam rah-e-talab mein shauq se 'wahshi' ki had-e-sai-e-la-hasil faqat kaun-o-makan tak hai