zamin se aasman tak koi istiara nahin

zamin se aasman tak koi istiara nahin
kisi ke hum nahin hain aur koi hamara nahin

bhanwar-badan se kuchh is tarah hum ulajh baithe
nikal ke jaen kidhar koi bhi kinara nahin

usi ko khwab-e-hawas mein hain dekhti aankhen
hamare pas koi aur mah-para nahin

wo chahta hai ki hum dastaras mein us ki rahen
kisi ka ho ke rahen ye use gawara nahin

wajud-e-jaan ke siwa milkiyat nahin kuchh bhi
isi sabab se mera koi goshwara nahin

chalo ki karte hain takhliq ek nai duniya
koi nasib ka apne yahan sitara nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close