zamin tashkil de lete falak tamir kar lete hum apne aap mein hote to sab taqdir kar lete inhi rahon pe chalne ki koi tadbir kar lete agarche khak udti, khak ko iksir kar lete nahin tha sar mein sauda baam-o-dar ka is qadar warna zamana dekhta kya kya na hum tamir kar lete ye mohlat bhi badi shai thi hamein ai kash mil jati kisi din baithte kar-e-jahan tahrir kar lete khalish baqi na hoti to bhala kya lutf rah jata tujhe taskhir karna chahte taskhir kar lete nahin guftar ki lazzat ye jazbe ki karamat hai agar jazba nahin hota to kya taqrir kar lete mohabbat mein junun ki barkaten shamil jo ho jatin adhure khwab the puri magar tabir kar lete