zar-e-sarishk faza mein uchhaalta hua main bikhar chala hun khushi ko sambhaalta hua main abhi to pahle paron ka bhi qarz hai mujh par jhijak raha hun nae par nikalta hua main kisi jazira-e-pur-amn ki talash mein hun khud apni rakh samundar mein dalta hua main phalon ke sath kahin ghonsle na gir jaen khayal rakhta hun patthar uchhaalta hua main ye kis bulandi pe la kar khada kiya hai mujhe ki thak gaya hun tawazun sambhaalta hua main wo aag phaili to sab kuchh siyah rakh hua ki so gaya tha badan ko ujalta hua main bichhad gaya hun khud apne maqam se 'shahid' bhatakne walon ko raste pe dalta hua main