zara zara si kai kashtiyan bana lena wo ab ke aae to bachpan rafu kara lena tamazaton mein mere gham ke sae mein chalna andhera ho to mera hausla jala lena shurua mein main bhi ise raushni samajhta tha ye zindagi hai ise hath mat laga lena main koi fard nahin hun ki bojh ban jaun ek ishtihaar hun diwar par laga lena rafaqaton ka tawazun agar bigad jae khamoshiyon ke taawun se ghar chala lena