zard mausam mein bhi ek shakh hari rahti hai dil ke gulshan mein koi sabz pari rahti hai tishna-lab kaun hai wo jis ke liye nahr-e-furaat meri palkon ki munderon pe dhari rahti hai mustaqil khana-badoshi ka koi ajr nahin panw se lipti mere dar-ba-dari rahti hai ai mere dil ke makin kuchh nahin tabdil hua tum jahan rahte the shorida-sari rahti hai jism ke bhed to khul jate hain dhire dhire ruh se ruh ki to parda-dari rahti hai dost ho jata mera sara zamana 'hashim' mere honton pe magar baat khari rahti hai