zarra-e-na-tapida ki KHwahish-e-aftab kya

zarra-e-na-tapida ki khwahish-e-aftab kya
naghma-e-na-shunida ka hausla-e-rabab kya

umr ka dil hai muzmahil zist hai dard-e-mustaqil
aise nizam-e-dahr mein waswasa-e-azab kya

naghma ba-lab hain kiyariyan raqs mein zarra-e-tapan
sun liya kisht-e-khushk ne zamzama-e-sahab kya

chehra-e-shab damak utha surkh shafaq jhalak uthi
waqt-e-tulu kah gaya jaane aaftab kya

rindon se baz-purs ki pir-e-mughan se dil-lagi
aaj ye mohtasib ne bhi pi hai kahin sharab kya

shama thi lakh adh-jali bazm mein raushni to thi
warna gham-e-nashat mein raushni-e-gulab kya

ghair ki rah-guzar hai ye dost ki rah-guzar nahin
kaun uthaega tujhe dekh raha hai khwab kya

muddaton se khalish jo thi jaise wo kam si ho chali
aaj mere sawal ka mil hi gaya jawab kya

han teri manzil-e-murad dur bahut hi dur hai
phir bhi har ek mod par dil mein ye iztirab kya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close