zarur chashm-e-tamasha chaman pe naz kare

zarur chashm-e-tamasha chaman pe naz kare
magar bahaar-o-khizan mein to imtiyaz kare

meri hayat ka maqsad hai sirf lazzat-e-gham
koi ye silsila-e-gham zara daraaz kare

junun ke daur mein ho jis ko shauq-e-gul-chini
chaman mein kaise wo kanton se ehtiraaz kare

yahi hai khaliq-e-jazbaat ka karam shayad
tumhein khushi se hamein gham se sarfaraaz kare

na kijiye kisi gustakhi-e-junun ka malal
kise hai hosh ki farq-e-niyaz-o-naz kare

rah-e-wafa mein tamanna-e-iltifat hai kufr
jo ji mein aae wo husn-e-karishma-saz kare

jabin-e-shauq to rakh di hai main ne dar pe tere
ye tera kaam hai bab-e-karam bhi baz kare

suna hai raaz-e-haqiqat usi hijab mein hai
jo dida-war ho wahi azmat-e-majaz kare

wo koi dil nahin patthar hai asl mein 'ashraf'
jo aadmi ko mohabbat se be-niyaz kare


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close