zat ke gard fasilen hain riyazat malum sirf jannat ke liye hai to ibaadat malum ye bhi ek shan-e-rahimi hai teri izz-o-jal na to manzil ki khabar hai na masafat malum wo bhi ek shakhs hai sada sa magar pechida na khuli us ki mohabbat na adawat malum zakhm-e-dil ho gae khandan wo mulaqat hui hai mujhe aap ka andaz-e-ayaadat malum wahi qatil wahi munsif wahi aini shahid adl aur aap ki mizan-e-adalat malum jaanch ka hukm haqaeq ki hai parda-poshi un ko pahle se hain asbab-e-baghawat malum aise-waise hue is shahr mein kaise kaise ahl-e-dastar ki hai hum ko najabat malum khun-e-nahaq se hain buniyaaden bhari mahlon ki qatl hote the jo hoti thi siyaadat malum