zauq-e-amal ke samne duri simat gai darwaza hum ne khola to diwar hat gai bete ko apne dekh ke ek bap ne kaha tum ho gae jawan magar umr ghat gai pahle to khud ko dekh ke hairat-zada hui chidiya phir aaine se lapak kar chimat gai patwar bhi uthane ki mohlat na mil saki aisi chali hawaen ki kashti ulat gai naraaz ho gaya hai khuda sab se ai 'shafaq' duniya tamam pyar ke rishte se kat gai