zauq-e-nazar ko jalwa-e-be-tab le gaya tabir ke nashat ko ek khwab le gaya mauj-e-subuk-khiram ki tahrik hi to tha wo hausla jo mujh ko tah-e-ab le gaya sar un ki bargah mein jhuk to gaya magar dil aabru-e-mimbar-o-mehrab le gaya naghmat-e-dil faza mein bikharne na pae the tar-e-nafas ko sadma-e-mizrab le gaya dil irtiqa-e-zehn ka hasil to ho gaya husn-e-yaqin ko aalam-e-asbab le gaya hairat-fishaniyan mujhe de to gaya magar aaina zindagi ki tab-o-tab le gaya hum ne mahal banae the kuchh regzar par jin ko baha ke waqt ka sailab le gaya